Wednesday, December 1, 2010

yah muqaam-e-ziNdagii bhi, barhaa ibrat aafriin hai


yah muqaam-e-ziNdagii bhi, barhaa ibrat aafriin hai
jahaaN sham'a jal rahii hai, vahiiN raushanii nahiiN hai

merii ziNdagii meN tum ho, mujhe ko_ii Gham nahiiN hai
merii sub'h bhii hasiiN thii, merii shaam bhii hasiiN hai

vahii haram ho ya kaleesa, ko_ii motbar nahiiN hai
jahaaN qalb mutma'iiN ho, vahii maNzil-e-yaqiiN hai

jo nazar-nazar garaaN hai, jo nafas-nafas haziiN hai
vahii aarzoo javaaN hai, vahii ziNdagii hasiiN hai

yah tilasm-e-raNg-o-boo hai, too yahaaN na DhooNDh unko
vah jahaaN nazar paRhe the, yah muqaam vah nahiiN hai

terii bazm-e-naaz meN ho, jise izn-e-baar_yaabii
vah Khataa bhii dil_kushaa hai, vah gunaah bhii hasiiN hai

mere ashk kyoN uThaayeN, tere daamanoN ke ehsaaN
abhii apnaa pairahan hai, abhii apnii aastiiN hai

mere zauq-e-justajoo kii, hai tujhii ko sharm rakhna
mere saath be_Khudii hai, ko_ii kaarvaaN nahiiN hai

merii ziNdagii chaman hai, maiN chaman kii ziNdagii hooN
mujhe fiqr-e-gulsitaaN hai, Gham-e-aashiyaaN nahiiN hai

No comments:

Popular Posts