Wednesday, December 1, 2010

Ye alag baat, ke kaha hi nahi


Ye alag baat, ke kaha hi nahi
Bin tere mai kabhi jiya hi nahi

Bawafaaii ka dars yaad rahe
Zakhm yuN, jaan kar siya hi nahi

Roothne par koi manata hai
Humko is baat ka, pata hi nahi

Dard dunia ke baanNta hi raha
Apne zakhmoN ka kuch kia hi nahi

Mujhko lai jaaye jo nagr tere
aaii aisi koi saba hi nahi

Wo mujhay **** kar chala bhi gaya
Aur ashqoN ka kuch pata hi nahi

Uske qadmo ki bas mile jannat
Yaad iske siwa dua hi nahi

Raat aankhoN mai kaise na kat_ti
Chaand baadal mai tu, chupa hi nahi

Itna gum tha meiN teri baton mai
Shor ruswaaii ka suna hi nahi

Tum hi aslam na rakh sake qaboo
Isme ashkoN ki kuch khta hi nahi

No comments:

Popular Posts