jo dil ko noor-e-haqq se hai taaba kiye hoye
har bazm ko hai appni darakhshaan kiye hoye
mein jii raha hoon ashk-e-nadamat ke faiz se
har lamha un ko appna nighehbaan kiye hoye
ya Rab hai tera zikr ajab kiimiya asar
sehrah ko bhi hai mere gulistaan kiye hoye
dono jahan ka kaif samoota hai rooh mein
jiita hai app ko jo mehrbaan kiye hoye
har lamha-e-hayaat howa rashq-e-sad-hayat
us khaaliq-e-haayat pe qurbaan kiye hoye
har khoon-e-aarzo ka silla dil ko jab mila
aalam ko hai wo mazhar-e-jaana kiye hoye
kerta nahin jo appni hifazat gunah sey
gulshaan ko bhi hai aah-bayabaan kiye hoye
kesey samajh loon pa gaya wo jaam-e-maarfaat
rakhta hai jo bhi khud ko numaya kiye hoye
rakhta hai mujh ko mast khizana ye qalbb ka
hoon appne dil mein dafn kuch aarman kiye hoye
haalat badal ga_ii hai ye murshiid ke faiz se
warna thei rind zindagi viraan kiye hoya
hota hai tei ye rasta, maalik ke jalb se
karte magar hain jalb ko pinhaan kiye hoye
"Akhtar" ko kiya howa hai ke aalim mein har taraf
phirta hai appna chaak-e-gire-baan kiye hoye
No comments:
Post a Comment