Wednesday, December 1, 2010

jis ko naseeb-e-lazzat-e-aazaar bhii nahiin


jis ko naseeb-e-lazzat-e-aazaar bhii nahiiN
vah bad_naseeb jiine ka haqdaar bhii nahiiN

kal jis ke sar pe saaya-e-zulf-e-daraaz thaa
aaj us ke sar pe saaya-e-deevaar bhii nahiiN

tum haal poochhte ho, inaayat kaa shukriyah
achchhaa agar nahiiN hooN to biimaar bhii nahiiN

jalvah_garii kii aap ko mohalat nahiiN agar
merii nazar ko fursat-e-deedaar bhii nahiiN

soonii paRhii hai maNzil-e-meraaj-e-ishq bhii
ab ko_ii laayaq-e-rasan-o-daar bhii nahiiN

jo be_Khata hoN un ko farishtoN meN do jagah
insaan vo nahiiN jo Khataa_vaar bhii nahiiN

uljheNge kya vo gardish-e-lail-o-nahaar se
jo aashnaa-e-kaakul-o-ruKhsaar bhii nahiiN

jiine se taNg aa gaya har aadamii magar
marne ke vaaste ko_ii taiyaar bhii nahiiN

kyoN apne sar gunaah ka ilzaam looN ''Nazeer''
jab ek saaNs lene ka muKhtaar bhii nahiiN

No comments:

Popular Posts