ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuN
maiN tujh ko chu sakuN to Khuda jaane kiya kahuN
lafzoN se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe
vo gul kaheN jise maiN teraa naqsh-e-paa kahuN
ab justaju hai teri jafaa ke javaaz ki
jii chahta hai tujh ko vafaa aashnaa kahuN
tuu chal diyaa to kitane haqa’eiq badal gaye
najm-e-sahar ko marqad-e-shab kaa diya karuN
jab mere muuNh meiN meri zubaaN hai to kyuN na maiN
jo kuchh kahuN yaqiN se kahuN barmlaa kahuN
kiya jaane kis safar pe ravaN huuN azal se maiN
har intahaa ko ek naii ibtidaa kahuN
ho kyuN na mujh ko apane mazaaq-e-suKhan pe naaz
Gaalib ko kainat-e-suKhan kaa Khudaa kahuN
No comments:
Post a Comment