mitti tha mein khameer teray naaz sey utha
phir haft aasmaN meri parwaz sey utha
insaan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho
ye jab utha zameer ki awaaz sey utha
subh-e-chaman mein ik yehi aaftab tha
is aadmi ki laash ko ezaz sey utha
soo kartaboN sey likha geya ik ik lafz
lekin ye jab utha kisi ejaz sey utha
ae shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil
ye teri sarZameeN hai qadam naaz sey utha
mein pooch looN kiya hai mera jabr-o-ikhtiyar
ya Rab ye massla kabi aghaaz sey utha
wo abr shabnami tha key nehla geya wajood
mein khwab deikhta hova ilfaz sey utha
sha`ir ki aankh ka wo sitara hova "Aleem"
qaamat mein jo qayamati andaaz sey utha
No comments:
Post a Comment