Wednesday, December 1, 2010

Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega


Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega,
masla phool ka hai, phool kidhar jaayega,

hum to samjhe the ke ek zakhm hai bhar jaayega,
kya khabar thi rag-e-jaan mein utar jaayega,

Wo hawaon ki tarah khaana-bajaan phirta hai,
ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega,

wo jab aayega to phir uski rafaaqat ke liye,
mausam-e-gul mere aangan mein theher jaayega,

aakhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi,
tera ye pyaar bhi dariya hai utar jaayega...

No comments:

Popular Posts