Wednesday, December 1, 2010

khaab sath rehne k nit-naye dikhata hai


khaab sath rehne k nit-naye dikhata hai
ye jo asl mausam hai ye guzarta jata hai

khudko sabz hi rakkha aansuo'n ki baarish mai
warna hijr ka mausam kisko raas aata hai

toofa'n hai hawa ka tu, tujhko kya bhala maloom
gard e badd ghumani se dill bhi tut jaata hai

aik tum hi thai warna aadmi mohabbat mai
laakh aayain deewarain raasta banata hai

hamm to khair nada'n thai muntazir rahe warna
koi apni beenaii iss tarah ganwata hai

zakhm saarey aankho'n k khwab bunn ne lagte hain
jab hawa k honto'n pe tera naam aata hai

senkrho'n dukane hain wasl k charago'n ki
kaun hijr mai apna abb lahoo jalata hai

No comments:

Popular Posts