Saturday, December 3, 2011

Nangey paaon

Nangey paaon

Wo alhar si dosheeza
Aankhon may hiyat ki
Tammam tar raanaiyan smaitey
Haathon may sut-rangi chooriyun
Ki khanak ke sang
Aangan may raqsan chandni may bheegi
Nangey paaon
Yahan se wahan athla rehi thi

Mai ne pass bulaya
Usko samjhaya
Nangey paaon na raha karo
Narmi tumharey paaon ki
Sakhti seh nahi sakti raigzaaron ki
Naadan wo muska ke bhaag gayi
Meri baat hawa may udaa gayi

Aaj barson baad jo uss se mulaqat hoi
Chehray pe jaise uske raat hoi
Wo qareeb ayi
Aur
Junbish-e-lab se sirf itna kaha

Nangey paaon waqai seh na sakey
Aangaron ke safar may
Aabla pa ho chuki hon
Mai zinda hon per mar chuki hon
Nangey paaon ab mai sehra may nikal
Chuki hon

_________________

No comments:

Popular Posts