Saturday, December 3, 2011

Sard mousamon ke dukh Kitney sard hotey hain

Sard mousamon ke dukh
Kitney sard hotey hain
Koi aah
Koi faryad
Koi shikwah
Koi shikayat
kuch bhi to nahi hota in mein

In mousamon ke baasi shajar bhi
Be-libas rehtay hain
Pattay bhi na janey
Fanna ki kin gehrayun may
Be-awaz gir jatey hain
Phool na janey kiyun bin khillay hi
Be-naam si mout mar jatey hain

Sard mousamon ki hawain
Ajeeb rang may nooha kanan hoti hain
Jaise kisi jawan marg pe
Kaheen chupke chupke
Kisi koney may aanchal lapetay
Koi ujri suhagan
Hichkiyun may sisakti ho

Aisa hi aik sard mousam
To meray andar bhi rehta hai
Janey kiyun isqadr tanha sa lagta hai
Yaadon ke sub zard pattey jhar chuke hain

Sard mousamon ke sub dukh
Meray andar utar chukey hain

_________________

No comments:

Popular Posts