Jahan mein aisa kaun hai, keh jisko gham mila nahi
Dukh aur sukh ke raaste baney hain sab ke waaste
Jo gham se haar jao ge tau kis tarah nibhaao ge
Khushi mile hamein keh gham jo hoga baant lein ge hum
Mujhe tum aazmaao tau zara nazar milaao tau
Yeh do jism sahi magar, dilon mein faasla nahi
Tumhaare pyar ki kasam, tumhaara gham hai mera gham
Na yun bujhe bujhe raho jo dil ki baat hai kaho
Jo mujh se bhi chupaao ge tau phir kise bataao ge
Main koi ghair tau nahi, dilaon kis tarah yaqeen
Keh tum se main juda nahi hoon, mujh se tum juda nahi

No comments:
Post a Comment