Tuesday, April 27, 2010

Jo chaho agar to tum aisa karo

Jo chaho agar to tum aisa karo!
Jo chaho agar to tum aisa karo!

Ahsaas kay saray rishtay tor do
Piyaar kay saray bandhan khol do

Dil say apnay bhula do mujhay
Aur phir kabhi na yaad aaoo mujhay

Dua hai meri khuda say kay!
Har qadam tumhara manzil ki taraf uthay

Aakash kay sitaro ko choo lo tum
Khushiyan har dam tumhari raha takay

Jugnuoo ki tarah jhilmilaoo tum
Kaash kay aisa ho jaye!

No comments:

Popular Posts