Tuesday, April 27, 2010

Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha

Aisi aankhen nahin dekhi, aisa kaajal nahin dekha
Aisa jalwa nahin dekha, aisa chehra nahin dekha



Aisi duniya nahin dekhi, aisa manzar nahin dekha
Aisa aalam nahin dekha, aisa dilbar nahin dekha 

Uske kangan ka khalakna jaise bulbul ka chahekna
Uski paazeb ki chham chham jaise barsaat ka mausam


Aisa saawan nahin dekha, aisi baarish nahin dekhi
Aisi rimjhim nahin dekhi, aisi khwaahish nahin dekhi

Jab yeh daaman ki hawa de, aag jungle mein laga de
Jab yeh saheraaon mein jaaye, ret mein phool khilaaye

Uski bebaaq si baatein jaise sardi ki ho raatein
Uff yeh tanhaai-e-masti jaise toofaan mein kashti

Meethi koyal si hai boli jaise geeton ki rangoli
Surkh gaalon pe paseena jaise phaagun ka maheena

No comments:

Popular Posts