Tuesday, April 27, 2010

tum mayri aankhon say khuwab daikho to

tum mayri aankhon say khuwab daikho to,,
aik shab bhi na so sako gay.
hazar chaho na hans sako gay
hazar chaho na ro sako gay,
k,,khuab kiya hain azab hain yeh,
meray dukhon ki kitab hain yeh,
rafaqatain in main chutt-ti hain,
mohabbatain in main rooth-ti hain,
panapty hain in main wehshatain si,
azziyatain in main phoot-ti hain,
inhi kay darr say khizan hain jazbay,
inhi say shakhain si toot-ti hain,
ghamon ki bandish hain khuab meray,
dukhon ki barish hain khuab meray
raheen-e-atish hain khuab meray
ubal raha hay dukhon ka laawa..
khayal saray jhulas gaye hain,
sulagti khuahish hain khuab meray
ukhadti sansain hain zindagi ki
lahoo ki sazish hain khuab meray
jo mery ankhon say khuab daikho to....
ek shab bhi na so sakogay....

No comments:

Popular Posts