Tuesday, April 27, 2010

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi

Azeem hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana acha lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna acha lagta hai

Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana acha lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana acha lagta hai

Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna acha lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana acha lagta hai

Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana acha lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana acha lagta hai

Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana acha lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna acha lagta hai

Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna acha lagta hai
Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain
Phir bhi is ka intazar kartay rehna acha lagta hai

No comments:

Popular Posts