Tuesday, April 27, 2010

Mein ne kab chaha tha ek jugnu galana rooh mein

Mein ne kab chaha tha ek jugnu galana rooh mein
Mein ne kab chaha tha ek khuwaab sajana rooh mein

Mein to bach bach ke guzarti thi,khaar rahoon se
Mein ne kab chaha tha kante chubana rooh mein

Mein to pariyoon ke mosamoon ki hi dewani thi
Mein na kab chaha tha andhera basana rooh mein

Mein to titli ke peche bagne mein ghayal thi
Mein ne kab chaha tha rangoon ko samana rooh mein

Mein to jaarno mein wadioon mein hi ethlati thi
Mein ne kab chaha tha sehra ko jagana rooh mein

Mein to zahmoon ki taab lane se hi qasir thi
Mein ne kab chaha tha ek keel lagana rooh mein

Mein to aeisi na thi jesy k abi hoon dosto
Mein ne kab chaha tha ye hal banana rooh mein

No comments:

Popular Posts