Chirag Mangte Rehne Ka Kuch Sabab Bhi Nahin,
Andhera Kaise Bitayen Ke Ab To Shab Bhi Nahin,
Main Apne Zaum Mein Ek Bazyaft Par Khush Hoon,
Ye Waqeya Hai Ke Mujh Ko Mila Wo Ab Bhi Nahin,
Jo Mere Shair Mein Mujh Se Ziyada Bolta Hai
Mein Us Ki Bazm Mein Ek Harf Zair Lab Bhi Nahin,
Aur Ab To Zindagi Karne Ke Sau Tareeqe Hain
Hum Us Ke Hijr Mein Tanha Rahe The Jab Bhi Nahin,
Kamal Shakhs Tha Jis Ne Mujhe Tabaah Kiya,
Khilaf Us Ke Ye Dil Ho Saka Hai Ab Bhi Nahin,
Ye Dastakein Ye Meri Zindagi Ki Adhi Raat,
Hawa Ka Shor Samajh Lon To Kuch Ajab Bhi Nahin,
Ye Dukh Nahen Ke Andheron Se Sulah Ki Hum Ne,
Malal Ye Hai Ke Ab Subha Ki Talab Bhi Nahin,
Hisab Dar Badari Tujh Se Mang Sakta Hai
Gareeb Shahar Magar Itna Itna Be Adab Bhi Nahin,
Hamein Bohat Hai Ye Sadat-E-Ishq Ki Nisbat
Ke Ye Qabeela Koii Aisa Kam Nasab Bhi Nahin...
No comments:
Post a Comment