kabhi kabhi yaad main ubhartay hain naqsh-e-maazi mitay mitay say
wo aazmaish dil-o-nazar ki, wo qurbatain si, wo faaslay say
kabhi kabhi aarzo kay sehra main, aa kay ruktay hain qaaflay say
wo sari baatain lagao ki si, wo saray unwaan wasaal kay say
nigah-o-dil ko qarar kaisa, nishaat-o-ghum main kami kahan ki
wo jab milay hain to un say har baar ki hai ulfat naiy siray say
bohut garaan hain yeh aaish-e-tanha, kaheen subak-tar, kaheen gawara
wo dard-e-pinhaan ki sari duniya rafeeq thee jis kay wastay say
tumhi kaho rind-o-mohtasib main hai aaj shub kaun farq aisa
yeh aa kay baithay hain mai-kaday main, wo uth kay aaiy hain mai-kaday say
No comments:
Post a Comment