Mohabbat Os Ki Surat,
Pyaasi Pankhudi Ke Honth Ko Sairab Karti Hai,
Gulon Ki Aastino Mein Anokhe Rang Bharti Hai,
Seher Ke Jhatpute Mein Gungunati Muskurati Jagmagati Hai,
Mohababt Ke Dino Mein Dasht Bhi Mehsoos Hota Hai,
Kisi Firdaus Ki Surat,
Mohabbat Os Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Surat,
Dilon Ki Sarzameen Mein Ye Ghir Ke Aati Hai Aur Barasti Hai,
Chaman Ka Zarra Zarra Jhumta Hai Muskurata Hai,
Azal Ki Benamu Matti Mein Sabzah Sar Uthata Hai,
Mohabbat Unko Bhi Aabad Aur Shadab Karti Hai,
Jo Dil Hai Qabr Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Soorat,
Mohabbat Aag Ki Soorat,
Bujhe Seeno Mein Jalti Hai To Dil Bedaar Hote Hai,
Mohabbat Ki Tapish Mein Kuch Ajab Asraar Hote Hai,
Ke Jitna Ye Bhadakti Hai Uroos=E-Jaan Mehekti Hai,
Dilon Ke Sahilon Pe Jama Hoti Aur Bikharti Hai,
Mohabbat Jhaag Ki Surat,
Mohabbat Aag Ki Surat,
Mohabbat Khwaab Ki Surat..
No comments:
Post a Comment