Haaye wo waqt-e-judaai key hamaarey aansoo
Gir ke daman pe baney thay jo tumhare aansoo
La'al-o-gohar ke kahazane hain jo sarey aansoo
Koi aankhon sey chura ley na tumharey aansoo
Unki aankhon mai jo aayen to sitaarey aansoo
Meri aankhoN mai agar hon to bichaarey ansoo
Daman-e-sabr bhi haathoN se mere chhoot gaya
Ab to aa pahunchey hain palkoN ke kinarey aansoo
Mere thehre huye ashkoN ki haqeeqat samjho
Ker rahe hain kisi toofaaN key isharey aansoo
Aaj ashkoN pe merey tum ko hansi aatee hai
Tum to kehte thay kabhi inko sitarey aansoo
Aap lillah meree fikr na keeje hargiz
Aa gaye hain yun hi bas shauq ke marey aansoo
No comments:
Post a Comment