Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Theher Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay
Kahan Bichra Huwa koi Safar Ke Baad Milta Hai
Hame Mil Kar Hi Jana Tum Safar Ki Shaam Se Pehlay
Meri Aankhon Ko Teri Ungliyon Ki Araam Aadat Hai
Ye Aankhen So Hi Jati Thin Barey Aaram Se Pehlay
Teri Aankhon Ko Dekha To Faqt itna Khayal Aaya
Guzara Kis Tarah Jeewan Salone Jaam Se Pehlay
Dilon Mein Phool Khilte Hein Tumhare Naam Se Pehlay
Lahoo Mein Deep Jaltey Hein Tumharey Naam Se Pehlay
Dilon Ki Jagmagati Bastiyan Aitraz karti Hein
Wuhi Jo Log Lagte Hein Nihayat Aam Se Pehlay
Huwa Hai Wo Agar Munsif, To " janaa " ehtiyatan Hum
Saza Tajweez Kartey Hein Kisi Anjam Se Pehlay
Hame Aaker Mana Lena kisi Bhi Kaam Se Pehlay
Udasi Theher Jati Hai Tumhare Naam Se Pehlay
No comments:
Post a Comment