Thursday, July 8, 2010

koi phool dhoop ki patiyoon mein harey ribbon se bandha hua



koi phool dhoop ki patiyoon mein harey ribbon se bandha hua
wo ghazal ka lehja naya naya na kaha hua na suna hua

jise lay gai abhi hawa woh warq tha dil ki kitab ka
kaheen aansoon se mita hua kaheen aansoon se likha hua

kai meel rait ko kat ker koi mauj phool khila gai
koi pearr piyas se mer raha he nadi kay pas khara hua

wohi khat k jis pe jagah jagah do mehakte hontoon k chand thay
kisi bhooley basrey se taaq per tah-e-gard ho ga daba hua

mujhe hadsoon ne saja saja k buhat haseen bana dia
mera dil bhi jaisay dulhan ka haath ho mehndiyon se racha hua

wohi shehar he wohi raastey wohi ghar he aur wohi lawn bhi
magr is dareechay se poochna woh darakht anar ka kia hua?

meray sath jugno he humsafar magr is sharar ki bisat kia
yeh charagh koi charagh he na jala hua na bujha hua...!!!!

No comments:

Popular Posts