Aankhon aankhon mai un se ye raabta acha laga
Iss tarah say guftagu ka silsila achha laga
aankh mai aansu, labon par siskiyan aur dil mai gham
mujh ko phir ay dost, tera roothna acha laga
yeh bhi acha hai nibhai ghair se us ne wafa
be wafai mai bhi mujh ko bewafa acha laga
door tak mujh ko ada uski nasha daiti rahi
waqt e rukhsat uska murr kar dekhna acha laga
apne aanchal par sajate wo rahe hain raat bhar
mere ashkon ka rawan ye silsila acha laga
wo kisi ki yaad mai soye nahi hain raat bhar
neend si bojhal si aankhon mai nasha acha laga
mujhko har tukre mai Nasir wo nazar anay lage
tut kar mujh ko jabhi to aaina acha laga
No comments:
Post a Comment