Ay maut tumhe bhulaye zamaney guzar gaye
Aa ja kay zehar khaye zamane guzar gaye
Oh janay walay aa kay tere intezaar main
Raste ko ghar banaye zamane guzar gaye
Gham hai, na ab khushi hai, Na umeed hai na yaas
Sab se nijaat paye zamane guzar gaye
Kya laiq-e-sitam bhi nahi ab main dosto..?
Pathar bhi ghar main aye zamaney guzar gaye
Jaan-e-bahaar phool nahi, admi hoon main
Aa jaa kay muskuraye zamaney guzar gaye
Kya kya tawaqoaat thiin Aahon se ay humar
Yeh teri bhi chalaye zamane guzar gaye
No comments:
Post a Comment