Thursday, July 8, 2010

Hairaton K silsilay Soz-e-Nihaan tak aa gaye


Hairaton K silsilay Soz-e-Nihaan tak aa gaye
hum nazar tak chahte thay tum to jaan tak aa gaye

Un ki palkon pe sitaray Apne honton par hansi
Qissa-e-Gham Kehte Kehte hum kahan tak aa gaye

Apni Apni Justuju hai apna apna shauq hai
Tum hansi tak bhi na puhnche ham fughan tak aa gaye

Zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na thaa
aap kis ki aarzoo mein gulistaan tak aa gaye

Rafta Rafta rang laya jazbaa-e-Khaamoshi-e-ishq
woh taghaaful karte karte imtehaan tak aa gae

Khud tumhein chaak-e-girebaan ka shaoor aa jae ga
tum wahan tak aa to jaao hum jahan tak aa gaye

No comments:

Popular Posts