Aay meray fan k paristaar tujhay kia maloom
kitnay dukh sehta hai fankaar tujhay kia maloom
kitni ratoun ka laho pe k nikharti hai ghazal
kisay hum likhtay hain ashaar tujhay kia maloom
raat jub jashn-e-charaghan main magan thi duniya
kaun roya pas-e-dewaar tujhay kia maloom
es chaman main jisay hum apni fiza kehtay hain
saans lena bhe hai dushwaar tujhay kia maloom
qadr-o-qemat meray dil shokta armano ki
meri khushioun k kharedaar tujhay kia maloom
tu tamashi nahi khaail main shamil hai magar
tera hai kaun sa kirdaar tujhay kia maloom
No comments:
Post a Comment