Tamannaoun ko zinda aarzoun ko jawan kar loon
ye sharmeli nazar keh de tu kuch ghustakhiyan kar loon
bahaar aae hai bulbul dard-e-dil kehti hai pholon se
kaho tu main bhe apna dard-e-dil tum se bayan kar loon
hazaroun shookh arman le rahay hain chutkiyan dil main
haya unki ejazat de tu kuch be-bakiyan kar loon
koe sorat tu ho duniya-e-fani main behalnay ki
thehar ja aay jawani matam-e-umer-e-rawan kar loon
kisay maloom kub kis wqt kis par gir paray bijli
abhi se main chaman main chal kar abaad aashiyan kar loon
bar aaen hasratain kia kia agar mout itni fursat de
k ek baar aur zinda shewa ishq-e-jawan kar loon
mujhay dono jahan main eak wo mil jaaen gar Akhtar
tu apni hasratoun ko be-niyaz-e-do jahan kar loon
No comments:
Post a Comment