Thursday, July 8, 2010

Adawaton Ka Jawab Likho, Na Chahton Ka Hisaab Likho


Adawaton Ka Jawab Likho, Na Chahton Ka Hisaab Likho
Jo Dukh Hain Un Ko Gulaab Likho, Jo Sukh Hain Un Ko Sirab Likho

Jo Aaj Dushman Hain Kal They Sathi, Jo Aj Sathi Woh Kal They Dushman
Zamana Badla Hey Tum Bhi Badlo Munafiqat Ki Kitaab Likho

Merey Khiyalon K Sarey Paikar, Woh Chand Chehrey, Woh Phool Lamhey
Keh Chaman Ki Tabeereain Kho Gai Hain, Ab Un Hawalon Ko Khuwab Likho

Woh Guzrey Lamhey, Woh Behtey Aansoo, Woh Jaltey Pehloo
Lahu Sey Zakhm Jiger K, Meri Wafa Ka Khooneen Woh Baab Likho

Rafaqaton Main Na Sakoon Miley Ga, Judaiyon Main Bhi Dukh Miley Ga
Na Paas Aao, Na Door Jao, Na Roz-O-Shab Ka Nisaab Likho

Wafa, Mohabbat, Ana-Pasandi-Wa-Beyniyazi Ka Zu'am Sarwat
Jo Merey Dil Pey Guzer Rahey Hain, Qiyamaton Ka Azaab Likho

No comments:

Popular Posts