Friday, July 16, 2010

Gar chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil


Gar chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil
To tasawwar ke giran qadar aayinon main bhi
Ik khamosh si ibarat parh lo
Jis ka mafhoom agar samajho to be had sada hai
Har takhiyyal ki bulandi per hai mehw-e-parwaz
Dil ki qeemat na kabhi saim-o-jawahar main mili
Na hi yeh bandish-e-halat-e-zamana main mili
Kis ne dekha hai kisi phool main khushboo ko kabhi
Kiya kisis aankh se le saktey ho tum aansoo ko kabhi
Kiya chura saktey ho taaron taron se us ki kirnon ko
Phir bhi chaho ke ada karsako tum qeemat-e-dil
Piyar ki aanch main jal gaye jo lamhey laa do
Tumahri yaad main chalaktey hain jo aansoo laa do!!

No comments:

Popular Posts