Friday, July 16, 2010

Jee Chuke Hum Bahut FaQat Apne Liye Gar Jiye Apni Khatir


Jee Chuke Hum Bahut FaQat Apne Liye,
Gar Jiye Apni Khatir To Phir Kya Jiye,
Hum Pe Ehsaan Bhaari Zamane Ke Hai,
Na Zamane Ki Khatir Jiye, Kya Jiye...

Aaj Apna Watan Raas Aata Nahi,
Naujawan Chal Pade Aaj Pardes Ko,
Is Watan Mein Zehaalat, Garibi Sahi,
Bewatan Ki Tarah Gar Jiye Kya Jiye...

Chaahe Aapas Mein Kitni Adavat Rahe,
Khoon Ke Rishte Mitte Nahi Bair Se,
Rishte Gairon Se Bun Kar Bhi Bunate Nahi,
Gair Ke Ghar Me Jaakar Jiye, Kya Jiye...

Aadmi Ki Hawas Kya Kabhi Kam Hui,
Jab Jitni Bhari Utni Khali Rahi,
Paisa Puje Kabhi Bhi Khuda Na Mile,
Paise Ke Waste Jo Jiye Kya Jiye...

Pyar Apne Se Aur Apne Dilse Sabhi
Log Karte Hai Karte Rahe Hai Sada,
Pyar Sacha Jo Auro Ke Dilse Kare,
Hai Wahi Jo Khalish Asliyat Me Jiye...

No comments:

Popular Posts