Monday, July 15, 2013

Bohat muddat se aisa hai

Bohat muddat se aisa hai,

K wo khmosh rehta hai,

Koi gehra hai ghum shayd,

Jisay chup chap sehta hai,

Yunhi chaltey huay tanha,

Koi ghamgeen sa naghma,

wo aksar gungunata hai,

Doran-e-guftagu yunhi,

Milen nazron se jb nazren,

To baten bhool jata hai,

Kisi gum sum si halat main,

Ya pihr barish k mausam main,

Fakat itna hi kehta hai,

Udasi be-waja si hai,

Bohat bojhal tabiyat hai,

Bhala sach kyun nahi kehta,

USAY muj say shekayat hai..
_________________


No comments:

Popular Posts