Monday, July 15, 2013

Dil ko choo jati hai raat ki awaz kabhi

Dil ko choo jati hai raat ki awaz kabhi
chonk uth’ta hon kahin tumne pukara hi na ho
marnay ke baad bhi meri ankhen khuli raheen
adat pari hovee thee teray intezar ki

kuch haar piro dalo gul’dastay bana rakho
araasta mehraben aangan mein saja rakho
Farsh-e-dil-o-jan yonhi ta-subh bicha rakho
hay raat andheri ye chokat pe diya rakho

shayad ke woh ajayen, darwaza khula rakho

yaad aa hi gai hogi, ab aa hi raha hoga
dar jaye na rastay main, sunsaan bada hoga
muddat se nahi aaya ab yaad bhi kya hoga
dehleez pe ja betho ghar bhool gaya hoga

aaker na palat jaye, darwaza khula rakho

kya meri lagan ab tak waisi hi lagi hogi
kya mil ke usay ab bhi waisi hi khushi hogi
kya chah meri usko waisi hi abhi hogi
ya mujh se bichar kar phir kuch aur badhi hogi

najanay kab ajaye, darwaza khula rakho

aisa na ho kay yeh shab phir yun hi guzar jaye
ta subho yunhi tarpoon tab bhi na magar aye
jab bhi koi ahat ho dam aank mein aa jaye
reh reh ke nazar uthay mayos palat aaye

shayad magar ajaye, darwaza khula rakho

kuch haar piro dalo gul’dastay bana rakho
araasta mehraben angen mein saja rakho

Popular Posts