Wednesday, August 7, 2013

Tumhain kitna yeh bola tha k meri zindagi mein is tarah shamil nahi hona

Tumhain kitna yeh bola tha
k meri zindagi mein is tarah shamil nahi hona
jab ankhain subh ko kholon
pukaron naam main tera
kabhi jab aaina dekhon
tumhara aks meri ankh ki putli main jam jaye
khushi mujh ko mile koi
tumhara sath main dhondhon
dukhon mein bhi yahi chahon*
k mere paas ho bass tum
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe badal se barish se*muhabat hay hamesha se
mager tum ne muhabbat ko junoon mein kuon badal dala?
main ab barish k mousam mein
tumhi ko dhondhta kyoun hon?
unhi sochon mein bheega hon*
main tanha bheegta kyoun hon?
tumhain kitna yeh bola tha
meri addat nahin badlo
meri khatir nahin badlo
mager tum ne badal dala
mera sab kuch badal dala
main ab ju khud ko takta hon
mujhe tum yaad ati hon
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe tum yaad mat ana
k tum ko bholna waise hi*mere bass se bahir hay
mujhe jab yaad ati ho tou yeh mehsoos hota hay
mujhe tum yaad kerti ho
tumhain kitna yeh bola tha
mujhe tum yaad mat kerna
mujhe tum yaad mat ana
meri is zindagi mein is tarah shamil nahin hona
yaad hay na tumhain kitna yeh bola tha?

No comments:

Popular Posts