Wednesday, August 7, 2013

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi baat kar koi baat kar

Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi baat kar koi baat kar
Tere lab hilain to kattey safar koi baat kar koi baat kar,

Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi baat kar koi baat kar,

Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi baat kar koi baat kar,

Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi baat kar koi baat kar,

Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi baat kar koi baat kar,

Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi baat kar koi baar kar,

Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi baat kar koi baar kar..

No comments:

Popular Posts