Mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai
mohabbat jeet hoti hai
mager isey haar kehtey hein
mohabbat dukh deti ha.
yeh her ik pal museebat hai
mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai
mohabbat mein sabhi jeeney merney ki
qasmein khaatey hein
mohabbat kerne waley, sapnoun ke
deep jalaatey hein
mohabbat bin maangey mil jaana
bhi aik naimat hai
mohabbat pa ke khoo janey mein
bhi koi hikmat hai
mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai
mohabbat mein mileey derd bhi
apney lagtey hain
mohabbat mein milii takleef hum
roz sehtey hain
mohabbat mein mitta detey hain
hum apni hi hasti ko
mohabbat mein amer ho janey ki
apni si koshish ho
mohabbat khuwaab ho ya koi
dilchasp haqeeqat ho
mohabbat mein hai posheeda
takmeel insaan ki
mohabbat qaieenaat mein
qoonjti awaaz hoti hai
mohabbat jeet hoti hai
mohabbat haar hoti hai
yeh her pal terpaati hai
mohabbat dil jalaati hai
yeh her lamha sataati hai
nami aankhoun mein rehti hai
khamshi mujh se kehti hai
mohabbat tum nahi kerna
mohabbat tum nahi kerna
hansi apni nahi rehti
khushi apni nahi rehti
dukh humjouli ban jaatey hain
sukh hum se aankh churaatey hain
socha tha hum ne bhi yehi
mohabbat hai nahi kerni
mager hum haar baithey hain
hum khud ko maar baithey hain
na apne nafs pe hai qaabu
na dil pe hukumraani hai
kaho tum hi mujhe humdum
yeh kaisi zindagani hai
ke houn main khud se sherminda
mohabbat meri afsurda
jisey paaya bh to aise
jaise sham'ma ko perwaana
usi ke ishq mein jeena
usi ishq mein hai mer jaana
nazroun mein wohi chehra
ho yaadoun mein wohi manzer
woh her pal sochtey rehna
unhi ko chahtey rehna
unhi ko maangtey rehna
unhi ko kehna mere ho
unhi se sherma jaana
woh un ke saath guzarey pal
hon jaisey haseen manzer
kaho tum hi mere jaana
ho kyoon nazroun se oujhal
na din ko chaain aata hai
na raat loori sunaati hai
teri yaadein teri baatein
mujhe abh zakhm deti hain
woh beetey pal suhaaney pal
hain abh mere liye aik boujh
jinhein jaana tum sambhalo
mujhe aa ker tum apna lo
tumhein paaney se khooney tak
tumhein khoo ker apn'aney tak
her ik pal thaa imtehaan
woh mera dil woh meri jaan
tumhi kaho mere humdum
mein kaise khud ko samjhaoun
ke apne dil ko behlaaoun
koi to ho ujli kiran
jo dey umeed mujhe humdum
ke ab mein haar baithi hoon
mein khud ko maar baithi hoon
jo ab hoon mein aise tanha
hai dil mera touta sa
jo na jurr ke bhi jurr paaye
na zakhm aise ke bher paayein
hain bas askhq jo behtey hain
yeh baa'rha mujh se kehtey hain
sahi kehta thaa pagal dil
sahi kehti thi meri soch
sahi kehti hai yeh duniya
mohabbat ik azeeyat hai
mohabbat sirf ik derd hai....!!!
No comments:
Post a Comment