Tuesday, April 20, 2010

Dheeray dheeray khamoshi say

Dheeray dheeray khamoshi say
Raat k bheegay aangan main
Tapak rahi hai ankh say shabnum
Janay kis ki yaad liye
Chand bhi tanha
Main bhi tanha
Jag rahay hain hum dono
Kon chura k neend humari
Hum ko tanha chor gaya
Dekh k apna apna chehra
Jheel k thehray pani main
Dhoond rahay hain khud ko shayad
Maazi k weerano main
Raat ki sardi main kis ki
Sanson ki garmi phail gayee
Yaad k jaltay angaron per
Phir hasrat nay aah bhari
Jaagti ankhain dekh rahi hain
Khuwab jo pooray ho na sakay
Tu bhi so ja chand akelay
Mujh ko bhi so janay day...

No comments:

Popular Posts