Tuesday, April 20, 2010

Akhri bar milo aise ke jaltay huay dil

Akhri bar milo aise ke jaltay huay dil

Rakh ho jaain koi aur taqaaza na karein

Chaak-a-wada na silay,
Zakhm-a-tamanna na khulay

Saans hamwaar rahay, shama ki lo tak na hilay

Baatein bas itni ke lamhay unhein aa ker gin jaaen

Aankh uthaaiy koi ummed to aankhain he chin jaaen

Us mulaqat ka ab koi weham nahin
Jis se aik aur mulaqaat ki soorat niklay

Ab nahin jaanan junoon ka na hakaayat ka waqt

Ab na tajdeed-a-wafa ka na shikaayat ka waqt

Lot gaiy shehr-a-hawaadis mein mata-a-alfaaz

Ab jo kehna hai to kaise koi noha kehiay

Aaj tak tum se rag-a-jaan k kaiee rishtay thay

Kal se jo ho ga usay kon sa rishta kehiay

Phir na dekhain aarz-o-rukhsaar milo

Maatami hai dam-a-rukhsat, dar-o-dewaar milo

Phir na hum hon, na iqraar na inkaar milo



Aakhri baar.....

Meri Jaan



Aakhri Baar Milo



_________________

No comments:

Popular Posts