Tuesday, April 20, 2010

mohabbat ous ki surat

mohabbat ous ki surat
pyasi phankri ke hount ko serab karti hai
gulou ki aastinou mien anokhe rung bharti hai
sehr k jhatpatey mien, gungunati, muskurati, jagmagati hai,
mohabbat ke dino mien dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdous ki surat
mohabbat ous ki surat.

mohabbat abr ki surat,
dilo k sar zameen pe ghir k aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai muskurata hai
azal k be namomti mien sabza sar authta hai
mohabbat aun ko bhi abaad aur shadaab karti hai
jo dil hai kabar ki surat
mohabbat abr ki surat.

mohabbat aag ki surat,
bhuje seeno mien jalti hai tou dil bedaar hotey hien
mohabbat ki tapish mien kuch ajab asraar hote hien
ke jitna ye bharakti hai, auroos jaan mehkti hai
dilo ke sahilo par jama hoti aur bikharti hai
mohabbat jhaag ki surat
mohabbat aag ki surat!

mohabbat khuwaab ki surat,
nigahoun mien autarti hai kisi mehtaab ki surat
sitaare aarzoo ke iss tarhan se jagmagate hien
ke pehchani nahi jati dil betaab ki surat!
mohabbat ke shajar par khuwaab k phanchi autarte hien
tou shakhien jaag authti hien
thakey harey sitarien jab zameen se baat karte hien
tou kab ki muntazir aankhou mien
shamaien jaag authti hien
mohabbat inn mien jalti hai chiraagey aab ki surat
mohabbat khuwaab ki surat.

mohabbat dard ki surat,
guzishta mousmou ka istiara ban k rehti hai
shabaney hijr mien, roshan sitara ban k rehti hai
munderou par chiragou ki luien jab thartarati hien
nagar mien na umeedi ki hawaaien sunati hien
gali mien jab koi aahat, koi saya nahi rehta
dhuke dil k liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
gamou k bojh se jab tootney lagte hien shaney
tou ye aun pe hath rakhti hai
kisi hamdard ki surat!

guzarjate hien sarey kafiley jab dil ki basti se
fiza mien tairti hai dair tak
ye gard ki surat,
MOHABBAT DARD KI SURat............

No comments:

Popular Posts