Tuesday, April 20, 2010

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai

Hawaa ki saans kyon sehmee hue hai?

Meri waaqif thee jab aati thee kamre me,

Mere seene mein bhar jaati thee...

jaise baadbaan bharte hain kashtee ke,

Ye baarish gungunaatee thee,

Isi chat ki munderon par...

Ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par unglee se likh jaatee thee sandeshe....

Bilaktee rehti hai baithee hue ab band raushandaanon ke peechay

Dopehren aisi lagtee hai jaise bin mohron ke khaalee khaane rakhe hai

Na koi khelnewaalaa hai baazee aur na koi chaal chaltaa hai....

Na din hota hai , na ab raat hoti hai....

Sabhee kuch ruk gaya hai

Wo kyaa mausam kaa jhaunka tha jo is deewaar par latke hue tasveer tirchee kar gaya hai?


_________________

No comments:

Popular Posts