Tuesday, April 20, 2010

Badaltay Mosam Badal Rahay Hain

Badaltay Mosam Badal Rahay Hain
Hazaar Rastay Nikal Rahay Hain
Tumhaari Dastak Ki Muntazir Hoon
Tumhain Sunaanay Ko Geet Kitnay
Mere Labon Par Machal Rahay Hain
Nadeem Mere
Kalaam Mere, Kaleem Mere
Chalay Bhi Aao Main Thak Gaee Hoon
Sajaa Ke Rakhoon Gi Ye Ghar Gharonda
Magar Adhoora Hai Saij Sapna
Na Jaanay Kese Ye Ho Raha Hai
Wo Door Mujh Se Main Door Us Se
Jo Hai Jahaan Bhar Mein Aik Apna
Haseen Mere
Harem-A-Dil Ke Makeen Mere
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon
Har Aik Naimat Ki Aik Naimat
Tumhaari Chaahat Tumhaari Soorat
Magar Tumhen Kis Tarha Bataaon
Hai Farsh-A-Dil Par Nazar Jamaaiy
Hamaari Chaahat Hamaari Soorat
Suhaag Mere
Haseen Malhaar Raag Mere
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon
Chalay Bhi Aao Mein Thak Gaee Hoon



_________________

No comments:

Popular Posts