Tuesday, April 20, 2010

Mery Hamsafar

Mery Hamsafar
Mery Jism-O-Jaan Ky Har Aek Rishty Sy Mau’tabar
Mery Hamsafar
Tujhy Yaad Hein, Tujhy Yaad Hein
Wo Jo Qurbaton Ky Suroor Mein
Teri Aarzoo Ky Hisaar Mein
Meri Khaahishon Ky Wafoor Mein
Kai Zaaiqy They Ghuly Huwy
Dar-E-Gulsitaan Sy Bahaar Tak
Wo Jo Raasty They Khuly Huway
Sar-E-Loh-E-Jaan
Kisi Ajnabi Si Zubaan Ky
Wo Jo Khushnumaan Sy Haroof They
Wo Jo Sarkashi Ka Ghubaar Tha Cha-har Su
Jahan Aek Doo-Jy Ky Rubaroo
Hamen Apni Roo’hon Mein Phaelti
Kisi Naghmaggi Ki Khabbar Mili
Kisi Roshni Ki Nazar Mili
Hamen Roshni Ki Nazar Mili
To Jo Reza Reza Sey Aks They
Wo Behm Huwy
Wo Behm Huwy To Pata Chala
Ky Jo Aag Si Hy Sharar-Fishaan Meri Khaak Mein
Usi Aag Ka Koi Anbujha Sa Nishaan Hy Teri Khaak Mein
Isi Khaak-Daan Mein Wo Khaab Hy Jissy Shakl Deny Ky Waasty
Ye Jo Shash’johaat Ka Khel Hy, Ye Ravaan Huwa
Isi Roshni Sy Makaan Banna, Isi Roshni Sy Zamaan Huwa
Ye Jo Her Gumaan Ka Yaqeen Hy
Wo Jo Her Yaqeen Ka Gumaan Tha
Isi Daastaan Ka Bayaan Tha

Mery Hamsafar
Kisi Dhiaan Ky Kisi Taaq Per Hy Dhara Huwa
Wo Jo Aek Rishta-E-Dard Tha
Mery Naam Ka Tery Naam Sy
Teri Subh Ka Meri Shaam Sy
Sar-E-Rahguzzar Hy Parra Huwa Wohi Khaab-E-Jaan
Jisay Apni Aankhoon Sy Dekh Leny Ky Waasty
Kai Laakh Taaroon Ki Seerriyoon Sy Uttar Ky Aati Thi Kehkashaan
Sar-E-Aasmaan
Kisi Abbr Paaray Ki Ott Sy
Usay Chaand Takta Tha Raat Bhar

Mery Hamsafar
Usi Rakht-E-Gham Ko Sammet’ty
Usi Khaab-E-Jaan Ko Sanbhaalty
Mery Raasty Kai Raaston Mein Ulajh Gaye
Wo Chiraagh Jo Mery Saath Saath They, Bujh Gaye
Wo Jo Manzilen
Kisi Aur Manzil-E-Benishaan Ky Ghubaar-E-Rah Mein Kho Gayen
Kai Was’wason Ky Fishaar Mein Shab-E-Intazaar Si Ho Gayen
Wo Tanaab-E-Dil Jo Ukharr Gaye
Wo Khyaam-E-Jaan Jo Ujjar Gaye
Wo Safeer They Usi Daastaan-E-Hayaat Ky
Jo Warq Warq Thi Bharri Hui
Mere Shoq Se Tery Roop Sy
Kahin Chaaon Sy Kahin Dhoop Sy
Mery Hamsafar Tujhy Kiya Khabbar
Ye Jo Waqt Hy Kisi Dhoop Chaon Ky Kheil Sa
Isey Dekhty, Isey Jheilty
Meri Aankh Gard Sy Att Gai
Mery Khaab Rait Mein Kho Gaye
Mery Haath Barf Se Ho Gaye

Mery Hamsafar
Mery Bekhabar Tery Naam Per
Wo Jo Phool Khilty They Hontt Per
Wo Jo Deep Jalty They Baam Per
Wo Nahi Rahy
Wo Nahi Rahy Ky Jo Aek Rabt Tha Darmiyaan
Wo Bikhar Gaya
Kisi Shaam Aesi Hawa Chali
Ky Jo Barg They Sar-E-Shaakh-E-Jaan
Wo Gir Gaye
Wo Jo Harf Darj They Reat Per
Wo Urr Gaye
Wo Jo Raastoon Ky Yaqeen They
Wo Jo Manziloon Ky Ameen They
Wo Nishaan-E-Paa Bi Mit Gaye

Mery Hamsafar
Hy Wohi Safar
Maggar Aek Morr Ky Fark Sy
Tery Haath Sy Mery Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla
Kai Mausamoon Mein Badal Gaya
Usay Naapty, Usay Kaat’ty
Mera Saara Waqt Nikal Gaya
Tu Mery Safar Ka Shareek Hy
Mein Tery Safar Ka Shareek Hoon
Per Jo Darmiyaan Sy Nikal Gaya
Usi Faasly Ky Shumaar Mein
Usi Be-Yakeen Sy Ghubaar Mein
Usi Rahguzar Ky Hissaar Mein
Tera Raasta Koi Aur Hy
Mera Raasta Koi Aur Hy

*********************************

No comments:

Popular Posts