Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai
Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai
Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai
Gam nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai
Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai
Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai
Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai
No comments:
Post a Comment