Is Apni Kiran Ko Aati hOii SubahOn Key Hawaley Karna hAi
KantOun Sey Ulajh Kar Jeena hAi PhOolon Sey Lipat Kar Marna hAi
Shayed Wo Zamana lOut Aaye Shayed Wo Palat Kar Dekh Bhi Lien
In Ujrii Ujrii NazrOun Mein Phir kOii FaSana Bharna hAi
Yeh SOz e dOraan Pey Ashk e Ravaan Yeh Kavash e Hastii Kya Kehiye
Martey hAin K Kuch Din Jee Lien hUm Jeetay hAin K Aakhir Marn hAi
Eik Shehar e Waffa Key Band DareChey Aankhien Meechey SOchtey hAin
Kab Qafilla Haaye Khanda o gUll Ko In RahOun Sey Guzarna hAi
Is Neelii DhUnd Mein Kitnay bUjhtey Zamaney Raakh Bikhair Gye
Eik Pal Kii Palak Par dUnya hAi Kya Jeena hAi Kya Marna hAi
RastOun Pey Andhairey Phail Gye Eik Manzil e Gham Tak Shaam hOii
Aey hUmSaffarO Kya Faisla hAi Ab Chalna hAi Key Thehar jAna hAi
Har Haal Mein Eik ShOreedgii e AfsOon e Tamana Baqi hAi
KhwabOun Key Bhanwar Mein Beh Kar Bhi KhwaabOun Key Ghaat Utarna hAi
No comments:
Post a Comment