Tuesday, July 13, 2010

Nainoo kay is darpan main tumhara chahra rahta hay



Nainoo kay is darpan main tumhara chahra rahta hay

Sans ke har ek lah main tumhara naam sajta hay

Pyar tumhara singhar hay mera har pal tum say kahte hoon

Tumharay naino ke chilmun main shayad kahee rahtee hoon

Jub jub ~CHAND~ ko daikhte hoon to woh mujh say kahta hay

Are oo pagle taira ~CHAND~ to tujh main basta hay

Hathoo ke lakeeroo main tumhe ko padte hoon

Phir halka sa muskura kar naam tumhara laite hoon

Jab jab hawa choote hay tumhay mahsoos karte hoon

Jab jab dil dhadkta hay tumhay yaad karte hoon

No comments:

Popular Posts