Dharkan dharkan Yaadon Kii Baraat Akaila Kamra
Main Aur Meray Zakhmii EhSasaat Akaila Kamra
Gaye DinOn Kii TaSveerOn Kay bUjhtay hOye NaQoosh
Taza, Rark e Ta'aluq Kay Sadmaat Akaila Kamra
dOsh e Hawa Pay Urnay Walay KhizaaN Kay Aakhrii Patay
Apni Akailii Jaan, Gham e Halaat, Akaila Kamra
Aadhii Raat Ko Chand Say Karna Balknii Mein Baatien
Sunta hAi Har Raat Meray NaGhmaat Akaila Kamra
Sab Samaan Beham hAin "Sajid" Likhnay Likhanay Kay
KhOon e JiGger Aur AansOo Dil Ki Dawaat Akaila Kamra
No comments:
Post a Comment