Tuesday, July 13, 2010

Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN


Meray Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN
Ye mera chehra, ye meree ankaiN
Bujhe hu-ay say charagh jaysay
Jo pher say jalnay kay muntazir hauN

Vo chand chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

JinhouN nay paymaN key-ye thay mujh say
rafaqatoN kay, mohabatoN kay
Kaha tha mujh say ke ay musafir rahe vafaa kay
JahaN bhee ja'ay ga hum bhee AiaN gay saath tere
BanaiN gay raatoN maiN chandni hum toe din maiN saa'ye bakhair daiN ge

Vo ~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

Vo apnay paymaN rafaqatoN kay mohabatoN kay
Shikast kar kay
Na jaanay ab kiss key rehguzar ka minara roshni hu'ay haiN
Magar Musafir koe kya khabar hay
Vo ~Chand~chehra toe bujh gaya hay
Sitara AnkhaiN toe so ga'eey haiN
Vo zulfaiN bay sayaah ho ga'eey haiN
Vo roshni or voh saa'ye meree ata thay
So meree raahoN maiN Aaj bhee haiN
ke maiN musafir ra-hey vafaa ka

Vo~Chand~ chehra, sitara AnkhaiN
Vo meharbaaN sayadaar zulfaiN

HazaaroN chehroN hazaaroN ankhaiN
HazaaroN zulfoN ka aik selaab-e-tund lay kar
mere ta'aqub maiN Aa-ra-hey haiN
Her aik chehra hay chand chehra
HaiN saary ankhaiN sitara ankhaiN
Tamaam haiN
Meharbaan saayah daar zulfaiN
MaiN kiss ko chahooN, maiN kiss ko choomoN
MaiN kiss kay saa'ye maiN bait jaaoN
bachooN ke toofaN maiN doob jaaoN
Ke mera chehra, na meree ankhaiN
Mera Khudaya! maiN zindagi kay azaab likhooN ke khawab likhooN

No comments:

Popular Posts