aaj mere ghar meri ~CHANDNI~ aayi
andheron mein jaise roshni aayi
der tak jalta rata raat ka say jaisa
tere aane se ab subeh suhani aayi
jis simt dekhoon nazar uthake to
tere hi naam ki khush jabani aayi
kahte hai admi ko admi ka saharen
jine ke liye bas tere hi kahani aayi
teri kahan manoon sirf yeh to bata
kis jannat se teri yeh jawani aayi
teri jabin par kiyun aye hai shikan
kis baat pe tujhe yeh pareshani aayi
jist ke har rang manoon to phir
tere baat pe mujhe bada aasani aayi
jab tu rukhsat ki baat karti hai alam
aankhon mein bin bulaye pani aayi
No comments:
Post a Comment