Tuesday, July 13, 2010

Dosti aur Pyaar ke Beech ki Patli Lakeer


Dosti aur Pyaar ke Beech ki Patli Lakeer
Kab Mein ne Paar ki nahi pata
Un Nazdekiyon ka sabab batana chaha tha mein ne


Per...Tum Nahi Samjhi

Sang Chahta tha Tumhara, Sada ke liye
Kyon ker Kaisay Kehta Tum se?
Tumhare liye apna Pyaar Jatana Chaha tha mein ne


Per...Tum Nahi Samjhi

Kabhi Jhaank ker Meri Aankhon mein dekha hota
Saari Dastaan Parh lete Tum
Be-Inteha Pyar Jhalakta tha Tumhare liye in mein


Per...Tum Nahi Samjhi

Badalon ko phar ker, Taaron ki Chadar se jab Chalkti ~Chandni~Chhoti Mujh ko
To lagta Bahon mein bhar liya Tum ne
Mein Tarapta Raha Tumhare liye


Per is Tarap ko...Tum Nahi Samjhi

Apna Kaam, Apne Dost, Apne Sapno mein Khoya raha
Apni Masrufiyat se Tumhein na Waqt mila
Mere sapne, Meri Aarzoo, Mere Armano ko


Per...Tum Nahi Samjhi

Mere Armano ko Dafna ker Tum kisi aur ki hoi
Mere Aansuon ko Puchti Tum, Mujhe Samjhati rahi
Un Aansuon ka Sabab, Apna Pyaar Khone ki Tarap


Meri Adhuri Kahani ko...Tum Nahi Samjhi

No comments:

Popular Posts