Tuesday, July 13, 2010

Saaza Pe Chor Diya, Jaza Pe Chor Diya


Saaza Pe Chor Diya, Jaza Pe Chor Diya
Har Aik Kaam Ko Hum Ne, Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yaad Rakhey Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kaam Tha Uski Raza Pe Chor Diya

Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Phir Jala De
Charagh Hum Ne Jala ke Hawa Pe Chor Diya

Ab Us Se Baat Kiye Baghair Kaisai Rahein Gai Hum
Ye Masla Duaa Ka Tha, So Duaa Pe Chor Diya

Is Liye To Woh Kehta Hai Dewana Hum Ko
Keh Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

No comments:

Popular Posts