Huwi hai shaam to aankhon main bas gayaa phir tu
Kahan gaya hai mere shehar kay musafir tu
Bohut udaas hai aik shakhss tere jaaney sey
Jo ho sakey tu chala aa ussi ki khaatir tu
Meri misaal ki aik nakhl-e-khushk-e-sahara hoon
Tera khayaal ki shaakh-e-chaman ka taair tu
Main janta hoon kay duniyaa tujhe badal deigi
Main manta hoon kay aisaa nahin bazahir tu
Hansi khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai
Yeh har maqaam pey kya sochta hai aakhir tu
'Faraz' tuney ussey mushkilon main daal diya
Zamaanaa sahib-e-zar aur sirf shaiyar tu
No comments:
Post a Comment